Meri Tanhayi Poochti Hai Mujhse, Bata Aaj Kaun Bichhad Gaya Hai Tujhse, Kya Batau Ki Mera Koi Sathi Hi Nahi, Shaayd Aaj Juda Ho Gaya Hu Khud SE...
Humain to kab se pata tha k "TU' bewafa hai Dost! Tujhe Chaha is liye ki shaayad teri fitrat badal jaye...
Main jo chahoon to tujhe phir say hasil karlu, Mager is tarah say mera dard beywaja hoga, Tujhe bari mushkil se paya tha main ney, Ab tujhe mujh ko hasil kerna hoga, Log kehtey they ishq na kerna "Raushan".... Tab Ye na socha tha ki ishq aisa saza hoga...
Galti karne waale ke liye nahi har pal maafi hota hai, Tinke ka sahara bhi dubne waale ke liye kaafi hota hai, Aashiq to jaan dekar bhi phoole nahi samate, Kyonki uske apne ke dil mein marne ke baad bhi uski yaadon ka toofan baki hota hai...
Bahut si baatein yun hi ho gayi waqt ka koi ishaara naa hua, Pyaar to humne bhi kiya unse beintehaa phir bhi wo sangdil hamara na hua, Log to hazaron mangte hai wo puri karta hai, Humne to ek hi duaa mangi wo bhi khudaa ko gawaara naa hua...
Zindagi beet jaati hai kisi ki nishani bankar, Kisi pyaar karne waali ki kahani bankar, Kuchh log bhool jaate hai ya bhula diye jaate hai, Par kuchh log hamare paas rah jaate hai aankhon mein paani banakar...
Dil tut te usne dekha hi nahi, Ishq kya cheez hai usne jaana hi nahi, Humne to use jaan se jyaada chaha tha, Par unho ne to kabhi hume apna mana hi nahi...
Mohabbat ek baar ho to use bholapan kahiye, Mohabbat dubara ho to use diwanapan kahiye, Mohabbat tisri baar ho to use pagalpan kahiye, Agar sachi mohabbat phir bhi na ho to use kaminapan kahiye...
Jab bhi unse milne ki takdir nazar aayi, Ehsaas ke pairon pe janjeer nazar aayi, Jab gaur kiya apne girte hue aansuon par, To sirf unki hi tasvir nazar aayi...
Jis se maine dil lagaya tha, Jiska jaane se pehle meri aankhone mein aansu aaya tha, Humne to ki thi bas unki hi pooja, Par unhone to saikron se dil lagaya tha...
Aksar jab hum unko yaad karte hain, Apne rab se yehi faryaad karte hain, Umar hamari bhi lag jaaye unko, Kyonki unhe hum khud se bhi jyaada pyaar karte hain...
Tadap ke dekho kisi ki chahat mein to samjh paaoge ki intezaar kya hota hai, Yun hi mil jaaye koi agar bina tadpe to kaise jaan paaoge ki pyaar kya hota hai
Har ek rishte ko aazmaya hai humne, Kuchh paya par bahut kuchh gawaya hai humne, Har ek shaks ne rulaya hai humko, Jisko bhi is dil mein basaya hai humne...
Duniya mein mera koi humdard nahi, Tu bhi naa chahe to koi harz nahi, Kabhi thokar kabhi aansu kabhi ruswaai mili, Kaise keh du ki mere dil mein koi dard nahi...
Tujhe jab bhi dekhta hu kuchh ho sa jata hai, Tujhe jab bhi sochta hu kuchh ho sa jata hai, Muskurata to ab bhi hu zindagi jeene ke liye, Par jab bhi bheed mein hota hu to kuchh kho sa jaata ha...
Wo beeta zamana bhul gaye, Kisi purane ko apnana bhul gaye, Hamein to aadat hai kisi ke diye waada ko yaad karne ki, Par wo apna diya waada nibhana bhul gaye...
Ishq waale aankhon ki baat samajh lete hai, Sapne mein mil jaaye to mulakat samajh lete hai, Rota to aasman bhi hai dharti ke liye, Magar uske aansuon ko log barsat samajh lete hai...
Teri yaad aksar aaya karti hai, Tanhai mein aake bahut rulaya karti hai, Sochta hu bhula dunga ab tumhe, Par naa jaane kyon chupke se aankhein bhig jaaya karti hai...
Unko chahne waale kam naa honge, Waqt ke saath saayad hum naa honge, Wo kisi ko kitna bhi pyaar de, Par unki yaadon ke hakdaar hum hi honge...
Khudi ko kar buland itna, Ki har takdir se pehle khuda khud tujhse puchhe bande bata teri raza kya hai...
Unki chahat mein hum jamana bhul gaye, Unke baad kisi ko apnana bhul gaye, Unse mohabbat hai bataya saare jahan ko, Bus ek unhe hi batana bhul gaye...
Chand ki judaai mein aasman bhi tadap gaya , Unki jhalak paane ko har sitara taras gaya , Badal ka dard kya kahu, Chand ki yaad mein wo to haste haste baras gaya...
Jo roj pyaar karte ho wo ek roj pyaar karnewaale ka dard kya jaane, Hoti hai taklif kitni kabra mein ye upar se phool chadhane waale kya jaane, Jindagi un hi anjaane mein beet jaya karti, Har kisi ki to nahi par kisi kisi ki yaad aaya karti hai...
Dil ke jo paas rehte hai, Dur rehkar bhi unse faasla nahin hota, Unki bhi kuchh majbooriyan rahi hongi, Warna yun hi koi bewafaa nahin hota...
No comments:
Post a Comment